WO kahta hai, mujhse pyar mat karo,
karna hai to khud se pyar karo,
Jo hai mere dil mein basa uska hi
Bas aitbaar karo,
Naa iss duniya ki parwah karo,
karna hai to khud se pyar karo.
wo kahta hai mujhse pyar nhi tumeh
main kahti hun khud se payar hai mujhe
nahi janta wo ki, usi ki amanat se hi to pyar
hai mujhe..
koi kahta hai ki dooriyon se hi nazdikiyaan
bani rahtin hai,par itni doorei bhi naa rakho,
ki faslon ko bharne mein hi ye umar gujar jaye,
wo hamse khafa hain,hum unse khafa hain
phir bhi baat karne ko jee chahta hai,
mujhe to lagta hai hum khud se hi khafa hain,
phir bhi ek dusre ka naam lekar chhupane ko
jee chahta hai,
khush thi main tanha tanha, u to lagta tha
koi aayega sayad inn tanhayion ko mitane ko…
par kya pata tha aayega koi inhi tanhayion ko
badane ko……..
No comments:
Post a Comment