Saturday, July 10, 2010

lamha

Lamha-2 intazaar kiya jis lamhe ka
Us lamhe ko jine ko tarsi main lamha-2
Us lamhe ko jiya maine har lamhe mein
Par kya pata tha,jab kareeb ayega wo lamha
To tham jayega har lamha………………

Socha tha us lamhe mein jee lungi har lamhe ko
Naa rahegi khawaish phir kisi lamhe ki
Par kya pata tha usi lamhe mein yaad aa jayegi
Wo saari tanhayian jo us lamhe ke gujrne par milni thi
Mujhe har lamhe mein…………………..

Suru din se ehsaas tha ,jis lamhe ko
Jine ki ,ki maine khawaish….use jine ka
Haq nhi tha sayad ,par phir bhi har lamhe ne
Yaad karaya wo lamha………………

Bechain thi us ko hakikat mein badlne se pahle
Lagta tha jaise samet lungi jindagi bhar ki khusiyan
Us lamhe mein……….. par kya pata tha usi waqt
Yaad aa jayega wo sara dard ,jo milna tha har lamhe mein.....

Kya pata tha jindagi ke sabse haseen
Lamhe mein hi,jina padega jindagi
Ka sabse dukh bhare lamhe ko ……….

Par phir bhi khus thi,lagta tha sayad
Wo sara intazaar khatam ho raha tha
Jisne tarsaya mujhe har lamhe mein
Par kya pata tha,wo lamha hi de jayega
Ek aur intazaar,har ek lamhe mein…………

No comments:

Post a Comment