Saturday, July 10, 2010

my thoughts

kabhi kabhi rone mein bhi ek khushi si hoti hai,
ussi waqt sayad yaadon ki barsat si hoti hai

naa hi uneh yaad karke haansil kar sakten hain...
aur naa hi uneh bhoolakar kisi aur ko haansil ho sakten hain

kabhi azad rehne ka shuank iss kadar tha,par
kya pata tha, yahi shuank ek din,kisi ki yaadon
mein iss kadar bandh dega,ki kabhi azad hona bhi
chahenge to bhi iss maksad mein kamyab na ho
payenge kabhi...

apne aap ko mahaan samjhti thi ki koi umeed nhi kisi se,
par galat thi iss baar,aaj ehsaas hua jo umeedon ke bina
jeene ka dhong karten hain,hakikat mein wo hi sabse jayada
umeeden paalne ke aadi hoten hain

its better having no reputation,
than having the ill reputation

koi kavita likhna shaan mante hain,
to koi fursat ka kaam,
par jahan tak maine samjha hai,
ye to maihaj wo ehsaas ya samjh hai,
jo khud-b-khud shabdon ke bandhan
mein bandhne ko majboor ho jata hai,


rishta kabhi bhi past nhi hota........
wo sirf rishta hota hai ...agar wo past ban jaye to
kabhi rishta nhi hota time pass hota hai..

kabhi kabhi darr lagta hai,jo har dua kabul ho jati hai..
..kabhi kabhi tumhe bhoolne ki,dua jo karti hun

vishwas karna jitna asaan hai
utna hi mushkil hai usse nibhana,
kisi ne sikhaya vishwas karna,
maine sikha usse nibhana,
kash koi hota jo sikha pata
isse todna....
to mushkil naa hota jeena......

my thoughts

WO kahta hai, mujhse pyar mat karo,
karna hai to khud se pyar karo,
Jo hai mere dil mein basa uska hi
Bas aitbaar karo,
Naa iss duniya ki parwah karo,
karna hai to khud se pyar karo.

wo kahta hai mujhse pyar nhi tumeh
main kahti hun khud se payar hai mujhe
nahi janta wo ki, usi ki amanat se hi to pyar
hai mujhe..

koi kahta hai ki dooriyon se hi nazdikiyaan
bani rahtin hai,par itni doorei bhi naa rakho,
ki faslon ko bharne mein hi ye umar gujar jaye,

wo hamse khafa hain,hum unse khafa hain
phir bhi baat karne ko jee chahta hai,
mujhe to lagta hai hum khud se hi khafa hain,
phir bhi ek dusre ka naam lekar chhupane ko
jee chahta hai,

khush thi main tanha tanha, u to lagta tha
koi aayega sayad inn tanhayion ko mitane ko…
par kya pata tha aayega koi inhi tanhayion ko
badane ko……..

MY THOUGHTS

Mohhabat karne wale pyar mein apni jaan dene ki baat karte
Hain, par sayad nhi jante wo jisse khud ki mahanta samjhten
Hain, usi pal wo hamse hi hamari jaan lene ki baat to karten hain….

Kahten hai dabi huyi bhawanao ko jagana asan nhi hota,
Lekin usse hi kahin muskil hota hai,jaggi huyi bhawanao
Ko phir unih gahraiyon mein dabana(keep these things a
At bay don’t fall in love if u fall then make it worth
Writing story)


1.hamesha se hi sunti aayi hun
kuch pane ke liye kuch khona padta hai,
Par naa jane kyun kabhi-2 lagta hai,
kuch pane ke liye bhi;kuch pana padta hai

2.chaho naa Kisi KO itna ki,
har chahat khatam ho jaye,
Chaho Kisi ko itna ki, tumhari
Har chahat uski ho jaye.

3.wo kahten hain ki bachkana harkat
main karti hun,par kya pata uneh
unih harkaton me hi apne khoye
Bachpan ko jine ki, koshis karti hun.

MY THOUGHTS

kahten hai tanhayion me insaan akela ho jata hai
par sochne wale kabhi ye kyun nhi sochte ki unih
tanhayion me koi hamare hamse bhi kareeb hota hai…..



jo manjheelon ko haasil nhi karte uneh nakamyab kahten hai
kyunki sayad wo bina manjheel wala rasta chunte hai…
sayad unke liye raste manjheelon se bhi kahin behter hai.


apna apna najriya hai koi jindagi ko tanhaian bana lete hai
to koi tanhayion me bhi jindagi doondh lete hai….


Kabhi kabhi kushiyian bhi dard ka karn banti hai
Kyunki kabhi kabhi kushiyan apno ko bhi bhula deti hain
Par wahi dukh jise har pal hum kosten hain kabhi kabhi
Anjane me bhi kushyian de jata hai kyunki wahi dukh
Apno ko hamare kareeb rakhta hai.


Sabhi kahte hain paison se koi kushiyan nhi
Karid sakta par pata nhi kyun mujhe lagta hai
Ki kushiya bhi karidi ja sakti hai bakayada
Ye paisa gar kisi ko kushiyan dene ko kharch kiya jaye to….....


Koi kahta hai phool bankar jeena to kya jeena
Ek din murjha jayenge,jeena hai to pathhar ban kar jeeo
Kabhi tarashe gaye to khuda kahlayege ................
Par mujhe lagta hai kambakht dono hi maut ke baad
Kaam aten hain ek kabbar banane ke to doosra kabbar par chadhane ke
Gar jeena hai to insaaniyat se jeeo jo jeene ke saath bhi aur jeene ke baad
Bhi yaad rahe.(mother taresa one of source of inspiration)

lamha

Lamha-2 intazaar kiya jis lamhe ka
Us lamhe ko jine ko tarsi main lamha-2
Us lamhe ko jiya maine har lamhe mein
Par kya pata tha,jab kareeb ayega wo lamha
To tham jayega har lamha………………

Socha tha us lamhe mein jee lungi har lamhe ko
Naa rahegi khawaish phir kisi lamhe ki
Par kya pata tha usi lamhe mein yaad aa jayegi
Wo saari tanhayian jo us lamhe ke gujrne par milni thi
Mujhe har lamhe mein…………………..

Suru din se ehsaas tha ,jis lamhe ko
Jine ki ,ki maine khawaish….use jine ka
Haq nhi tha sayad ,par phir bhi har lamhe ne
Yaad karaya wo lamha………………

Bechain thi us ko hakikat mein badlne se pahle
Lagta tha jaise samet lungi jindagi bhar ki khusiyan
Us lamhe mein……….. par kya pata tha usi waqt
Yaad aa jayega wo sara dard ,jo milna tha har lamhe mein.....

Kya pata tha jindagi ke sabse haseen
Lamhe mein hi,jina padega jindagi
Ka sabse dukh bhare lamhe ko ……….

Par phir bhi khus thi,lagta tha sayad
Wo sara intazaar khatam ho raha tha
Jisne tarsaya mujhe har lamhe mein
Par kya pata tha,wo lamha hi de jayega
Ek aur intazaar,har ek lamhe mein…………